Thursday, February 14, 2013

Khile gulab ka murjhana bura lagta hai


Khile gulab ka murjhana bura lagta  hai
mohabat ka yu mar jana bura lgta hai,
fasle mitana acchi bat hai,
par kisi ka unke nazdik jana bura lagta hai,
yu to chalti hai hawa roz fizao me,
par uska unko chu kar guzar jana bura lgta hai,
unki hasi hai hume sabse pyari, par unka kisiko dekhkar 
muskrana bura lgta hai,
intzar me unke bita denge sari zindagi,
lekin unka yu milke bichhad jana bura lgta hai,
keh to dete hai hum roz bewafa unko,
par kisi or ka unpe ilzam lgana bura lgta hai,
wo naam na le hamara jindgi bhar gam nahi,
par na jane kyu unke labon pe kisi aur ka naam ana bura lagta hai

No comments:

Post a Comment